is bar tujhe KHwab mein aana hi paDega
is baar tujhe ḳhvāb meñ aanā hī paḌegā
is baar tujhe mujh ko satānā hī paḌegā
is baar badan kī na koī chaal chalegī
is baar tujhe paar to jaanā hī paḌegā
is baar maiñ sunñe se rahā koī bahānā
is baar mujhe paas biThānā hī paḌegā
is baar mire ġham kā koī yaar nahīñ hai
is baar mujhe ḳhud ko hañsānā hī paḌegā
is baar chaleñgī hī nahīñ koī dalīleñ
is baar tujhe mujh ko manānā hī paḌegā
is baar mujhe lene ko aa.e haiñ farishte
is baar mujhe yaar to jaanā hī paḌegā
is bar tujhe KHwab mein aana hi paDega
is bar tujhe mujh ko satana hi paDega
is bar badan ki na koi chaal chalegi
is bar tujhe par to jaana hi paDega
is bar main sunne se raha koi bahana
is bar mujhe pas biThana hi paDega
is bar mere gham ka koi yar nahin hai
is bar mujhe KHud ko hansana hi paDega
is bar chalengi hi nahin koi dalilen
is bar tujhe mujh ko manana hi paDega
is bar mujhe lene ko aae hain farishte
is bar mujhe yar to jaana hi paDega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.