is bahr-e-be-sada mein kuchh aur niche jaen
is bahr-e-be-sadā meñ kuchh aur nīche jaa.eñ
āvāz kā ḳhazīna shāyad tahoñ meñ paa.eñ
galiyoñ meñ saḌ rahī haiñ biite dinoñ kī lāsheñ
kamre meñ gūñjtī haiñ be-nām sī sadā.eñ
maazī kī ye imārat mehmāñ hai koī dam kī
dīvār-o-dar shikasta aur tez-tar havā.eñ
lete hī haath meñ kyuuñ aḳhbār phaaḌ Daalā
kaisī ḳhabar chhapī thī ham kis ko kyā batā.eñ
shab kī siyah nadī se 'saifī' ubhar ke socho
sūraj kī raushnī meñ saa.e kahāñ chhupā.eñ
is bahr-e-be-sada mein kuchh aur niche jaen
aawaz ka KHazina shayad tahon mein paen
galiyon mein saD rahi hain bite dinon ki lashen
kamre mein gunjti hain be-nam si sadaen
mazi ki ye imarat mehman hai koi dam ki
diwar-o-dar shikasta aur tez-tar hawaen
lete hi hath mein kyun aKHbar phaD Dala
kaisi KHabar chhapi thi hum kis ko kya bataen
shab ki siyah nadi se 'saifi' ubhar ke socho
suraj ki raushni mein sae kahan chhupaen
- Book : Urdu Adab (Pg. 39)
- Author : Iqbal Hussain
- Publication : Iqbal Hussain Publishers (Jan, Feb. Mar 1996)
- Edition : Jan, Feb. Mar 1996
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.