is bahs mein kya paDna kise bhul gae hain
is bahs meñ kyā paḌnā kise bhuul ga.e haiñ
ham dasht meñ kab peḌ hue bhuul ga.e haiñ
kuchh qābil-e-rashk apnī mohabbat bhī nahīñ thī
kuchh shohrat-e-daurāñ se Dare bhuul ga.e haiñ
maiñ gard ko oḌhe hue muddat se paḌā huuñ
vo haath kahīñ rakh ke mujhe bhuul ga.e haiñ
asbāq tire yaad haiñ ehsān bhī saare
jā gardish-e-ayyām tujhe bhuul ga.e haiñ
ab zaḳhm ko taaza koī rakkhe bhī to kyūñkar
ab yaad bhī kyā karnā jise bhuul ga.e haiñ
ham lambī masāfat meñ kisī haath se chhūTe
ham log kahāñ kis ko mile bhuul ga.e haiñ
ham zang-zada qufl kī tamsīl the 'sābir'
kab kaise kisī dil meñ paḌe bhuul ga.e haiñ
is bahs mein kya paDna kise bhul gae hain
hum dasht mein kab peD hue bhul gae hain
kuchh qabil-e-rashk apni mohabbat bhi nahin thi
kuchh shohrat-e-dauran se Dare bhul gae hain
main gard ko oDhe hue muddat se paDa hun
wo hath kahin rakh ke mujhe bhul gae hain
asbaq tere yaad hain ehsan bhi sare
ja gardish-e-ayyam tujhe bhul gae hain
ab zaKHm ko taza koi rakkhe bhi to kyunkar
ab yaad bhi kya karna jise bhul gae hain
hum lambi masafat mein kisi hath se chhuTe
hum log kahan kis ko mile bhul gae hain
hum zang-zada qufl ki tamsil the 'sabir'
kab kaise kisi dil mein paDe bhul gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.