is bazm-e-tasawwur mein bas yar ki baaten hain
is bazm-e-tasavvur meñ bas yaar kī bāteñ haiñ
mizhgāñ ke qasīde haiñ ruḳhsār kī bāteñ haiñ
hoñToñ ke darīchoñ par dildār kī bāteñ haiñ
parda bhī hai parde meñ dīdār kī bāteñ haiñ
iz.hār-e-mohabbat kā andāz nirālā hai
inkār ke lahje meñ iqrār kī bāteñ haiñ
din-rāt tasavvur meñ tasvīr tumhārī hai
is paar kī duniyā meñ us paar kī bāteñ haiñ
yuuñ kaif numāyāñ hai ġhazloñ meñ mirī jaise
āfāq kī vus.at meñ fankār kī bāteñ haiñ
āñkhoñ ko mirī paḌh kar saaqī ne kahā hañs kar
īqān zarā mushkil mai-ḳhvār kī bāteñ haiñ
ye ishq tumheñ 'zākir' kis moḌ pe le aayā
zanjīr hai pairoñ meñ jhankār kī bāteñ haiñ
is bazm-e-tasawwur mein bas yar ki baaten hain
mizhgan ke qaside hain ruKHsar ki baaten hain
honTon ke darichon par dildar ki baaten hain
parda bhi hai parde mein didar ki baaten hain
izhaar-e-mohabbat ka andaz nirala hai
inkar ke lahje mein iqrar ki baaten hain
din-raat tasawwur mein taswir tumhaari hai
is par ki duniya mein us par ki baaten hain
yun kaif numayan hai ghazlon mein meri jaise
aafaq ki wusat mein fankar ki baaten hain
aankhon ko meri paDh kar saqi ne kaha hans kar
iqan zara mushkil mai-KHwar ki baaten hain
ye ishq tumhein 'zakir' kis moD pe le aaya
zanjir hai pairon mein jhankar ki baaten hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.