is bazm mein pate nahin dil-soz kisi ko
is bazm meñ paate nahīñ dil-soz kisī ko
yaañ sham.a hamārī hai na parvāna hamārā
kis ke ruḳh-e-raushan kā tasavvur hai ye dil meñ
hai manzil-e-ḳhurshīd siyah-ḳhāna hamārā
nāseh kī nasīhat se hai zid aur bhī dil ko
suntā nahīñ hoshyār kī dīvāna hamārā
dil le chuke phir bose kī takrār hai bhejā
do jins hī yā pher do bai.āna hamārā
ham zulf-e-pareshāñ kī tarah se haiñ pareshāñ
ab dam kī kashākash hai faqat shāna hamārā
sau ārzū-e-murda ko rakkhā hai jo dil meñ
takiya hai maqābir kā ye vīrāna hamārā
is bazm mein pate nahin dil-soz kisi ko
yan shama hamari hai na parwana hamara
kis ke ruKH-e-raushan ka tasawwur hai ye dil mein
hai manzil-e-KHurshid siyah-KHana hamara
naseh ki nasihat se hai zid aur bhi dil ko
sunta nahin hoshyar ki diwana hamara
dil le chuke phir bose ki takrar hai bheja
do jins hi ya pher do baiana hamara
hum zulf-e-pareshan ki tarah se hain pareshan
ab dam ki kashakash hai faqat shana hamara
sau aarzu-e-murda ko rakkha hai jo dil mein
takiya hai maqabir ka ye virana hamara
- Book : Intekhab-e-kalam Shuur Bilgiramii (Pg. 24)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.