is be-qarar dil ko mere tu qarar de
is be-qarār dil ko mire tū qarār de
ujḌī huī ḳhizāñ meñ tū fasl-e-bahār de
pahuñchī hai merī pyaas kī shiddat uruuj par
lillāh mere lab pe tū kausar utaar de
ho jā.ūñ maiñ vajūd se vābasta is qadar
terī ḳhushī meñ ġham meñ ḳhudā iḳhtiyār de
bikhrī huī hayāt hai apnī bhī ai sanam
aakar mirī hayāt ko ab tū sañvār de
hañs kar ke Taal duuñ maiñ mohabbat kā har sitam
vo hausla mujhe mire parvardigār de
majnūñ ke jaisā ho gayā ab to 'anīs-qalb’
aakar mujhe sukūn de mujh ko qarār de
is be-qarar dil ko mere tu qarar de
ujDi hui KHizan mein tu fasl-e-bahaar de
pahunchi hai meri pyas ki shiddat uruj par
lillah mere lab pe tu kausar utar de
ho jaun main wajud se wabasta is qadar
teri KHushi mein gham mein KHuda iKHtiyar de
bikhri hui hayat hai apni bhi ai sanam
aakar meri hayat ko ab tu sanwar de
hans kar ke Tal dun main mohabbat ka har sitam
wo hausla mujhe mere parwardigar de
majnun ke jaisa ho gaya ab to 'anis-qalb’
aakar mujhe sukun de mujh ko qarar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.