is bhari bhiD mein hun aaj bhi tanha tanha
is bharī bhiiḌ meñ huuñ aaj bhī tanhā tanhā
yuuñ hamesha hī rahī zindagī tanhā tanhā
na koī sāthī hai is kā na koī saath rahā
aatā hai jaatā bhī hai aadmī tanhā tanhā
vo nahīñ ham bhī tujhe dekh nahīñ pā.eñge
chāñd hai aaj terī chāñdnī tanhā tanhā
kis tarah DhūñDūñ use kis tarah jā kar dekhūñ
saath rahtī hai mere āgahī tanhā tanhā
sun rahe haiñ ki zamāne meñ bahār aa.ī hai
vo nahīñ hai to mirī har ḳhushī tanhā tanhā
is bhari bhiD mein hun aaj bhi tanha tanha
yun hamesha hi rahi zindagi tanha tanha
na koi sathi hai is ka na koi sath raha
aata hai jata bhi hai aadmi tanha tanha
wo nahin hum bhi tujhe dekh nahin paenge
chand hai aaj teri chandni tanha tanha
kis tarah DhunDun use kis tarah ja kar dekhun
sath rahti hai mere aagahi tanha tanha
sun rahe hain ki zamane mein bahaar aai hai
wo nahin hai to meri har KHushi tanha tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.