is chaman mein kabhi aise bhi bahaar aa jae
is chaman meñ kabhī aise bhī bahār aa jaa.e
be-qarārī ke muqaddar meñ qarār aa jaa.e
na diloñ meñ koī dhaḌkan hai na sīnoñ meñ taḌap
mauj-e-tūfāñ koī sāhil ba-kanār aa jaa.e
shāḳh par phuul ye kāñToñ se ubhar kar bolā
aaj sardār vahī jo sar-e-dār aa jaa.e
mar ke jiine meñ hai sarsabzī-e-gulzār kā raaz
phuul kumlā.e to kaliyoñ pe nikhār aa jaa.e
mahv-e-ā.īna huā kartā hai ā.īna-e-dil
jis qadar saaf karo utnā ġhubār aa jaa.e
be-qarārī meñ hī 'fayyāz' hai jiine kā maza
zindagī maut samajhiye jo qarār aa jaa.e
is chaman mein kabhi aise bhi bahaar aa jae
be-qarari ke muqaddar mein qarar aa jae
na dilon mein koi dhaDkan hai na sinon mein taDap
mauj-e-tufan koi sahil ba-kanar aa jae
shaKH par phul ye kanTon se ubhar kar bola
aaj sardar wahi jo sar-e-dar aa jae
mar ke jine mein hai sarsabzi-e-gulzar ka raaz
phul kumlae to kaliyon pe nikhaar aa jae
mahw-e-aina hua karta hai aaina-e-dil
jis qadar saf karo utna ghubar aa jae
be-qarari mein hi 'fayyaz' hai jine ka maza
zindagi maut samajhiye jo qarar aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.