is Dar se ishaara na kiya honT na khole
is Dar se ishāra na kiyā hoñT na khole
dekhe ki na dekhe koī bole ki na bole
patthar kī tarah tum ne mirā sog manāyā
dāman na kabhī chaak kiyā baal na khole
maiñ ne sar-e-girdāb ka.ī baar pukārā
sāhil se magar log baḌī der se bole
maiñ ālam-e-tanhā.ī meñ niklā huuñ safar par
phir gardish-e-ayyām kahīñ saath na ho le
ham kohna rivāyāt ke mujrim haiñ ki ham ne
insāñ kabhī sone kī tarāzū meñ na tole
phir 'rām' yahāñ chup ko bahut der lagegī
jī khol ke hañs le abhī jī khol ke ro le
is Dar se ishaara na kiya honT na khole
dekhe ki na dekhe koi bole ki na bole
patthar ki tarah tum ne mera sog manaya
daman na kabhi chaak kiya baal na khole
main ne sar-e-girdab kai bar pukara
sahil se magar log baDi der se bole
main aalam-e-tanhai mein nikla hun safar par
phir gardish-e-ayyam kahin sath na ho le
hum kohna riwayat ke mujrim hain ki hum ne
insan kabhi sone ki taraazu mein na tole
phir 'ram' yahan chup ko bahut der lagegi
ji khol ke hans le abhi ji khol ke ro le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.