is dard-e-la-jawab se parhez kya karen
is dard-e-lā-javāb se parhez kyā kareñ
hotī nahīñ janāb se parhez kyā kareñ
ai tajrabāt-e-zindagī pahlā paḌāv hai
ġhaltī ke irtikāb se parhez kyā kareñ
ḳhud hī to dī haiñ ai ḳhudā duniyā kī lazzateñ
ham log dastiyāb se parhez kyā kareñ
muddat rahe haiñ yaar tirī justujū meñ ham
sahrā meñ haiñ sarāb se parhez kyā kareñ
jab zehn-o-dil meñ yaad kī taḳhtī lagī rahe
āñkheñ kisī ke ḳhvāb se parhez kyā kareñ
apnī kitāb-e-zīst kā unvān ishq hai
to phir junūñ ke baab se parhez kyā kareñ
har din nikal ke sāmne aatā hai āftāb
ham husn-e-be-hijāb se parhez kyā kareñ
'shīrāz' mānte haiñ ki aadat ḳharāb hai
par ādat-e-ḳharāb se parhez kyā kareñ
is dard-e-la-jawab se parhez kya karen
hoti nahin janab se parhez kya karen
ai tajrabaat-e-zindagi pahla paDaw hai
ghalti ke irtikab se parhez kya karen
KHud hi to di hain ai KHuda duniya ki lazzaten
hum log dastiyab se parhez kya karen
muddat rahe hain yar teri justuju mein hum
sahra mein hain sarab se parhez kya karen
jab zehn-o-dil mein yaad ki taKHti lagi rahe
aankhen kisi ke KHwab se parhez kya karen
apni kitab-e-zist ka unwan ishq hai
to phir junun ke bab se parhez kya karen
har din nikal ke samne aata hai aaftab
hum husn-e-be-hijab se parhez kya karen
'shiraaz' mante hain ki aadat KHarab hai
par aadat-e-KHarab se parhez kya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.