is darja apne aap se kal Dar laga mujhe
is darja apne aap se kal Dar lagā mujhe
ik qatra ashk kā bhī samandar lagā mujhe
kar le mire ḳhulūs se zebā.ish-e-dukāñ
andar kī chiiz jaan ke bāhar lagā mujhe
ehsās kā ye husn-e-nazākat bhī ḳhuub hai
us ne to phuul pheñkā thā patthar lagā mujhe
khaa.e haiñ itne zaḳhm mohabbat ke naam par
dekhā kisī ne pyaar se to Dar lagā mujhe
maiñ apnī rif’atoñ se rahā ḳhud hī ajnabī
us se judā huā huuñ to aksar lagā mujhe
dekhā kisī ko hañste hue 'tūr' jab kabhī
mānūs sā ye dard kā manzar lagā mujhe
is darja apne aap se kal Dar laga mujhe
ek qatra ashk ka bhi samandar laga mujhe
kar le mere KHulus se zebaish-e-dukan
andar ki chiz jaan ke bahar laga mujhe
ehsas ka ye husn-e-nazakat bhi KHub hai
us ne to phul phenka tha patthar laga mujhe
khae hain itne zaKHm mohabbat ke nam par
dekha kisi ne pyar se to Dar laga mujhe
main apni rif’aton se raha KHud hi ajnabi
us se juda hua hun to aksar laga mujhe
dekha kisi ko hanste hue 'tur' jab kabhi
manus sa ye dard ka manzar laga mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.