is darja bebasi hai koi ham-zaban nahin
is darja bebasī hai koī ham-zabāñ nahīñ
baiThe haiñ rah-guzar pe koī sā.ebāñ nahīñ
maazī kī yaad se hai juḌī zindagī kī Dor
ye hausla hai dil kā 'azāb-e-nihāñ nahīñ
logoñ kā haal mere vatan meñ 'ajīb hai
koī hai fāqa-kash to kisī ko amaañ nahīñ
zinda haiñ kis tarah se mire ham-vatan yahāñ
ummīd-e-raushnī kā jahāñ par nishāñ nahīñ
āl-e-‘abā ke dar se milī raushnī mujhe
varna shab-e-siyāh meñ is kā gumāñ nahīñ
ik maañ ke dam se ziist meñ raunaq thī barqarār
ab vo nahīñ to raunaq-e-bazm-e-jahāñ nahīñ
manzil ko pā sakegī bhalā kyā hamārī qaum
ik muntashir hujūm hai ye kārvāñ nahīñ
chhānī hai ḳhaak ham ne bahut kū-e-yār kī
'jā'far' is 'āshiqī se kisī ko amaañ nahīñ
is darja bebasi hai koi ham-zaban nahin
baiThe hain rah-guzar pe koi saeban nahin
mazi ki yaad se hai juDi zindagi ki Dor
ye hausla hai dil ka 'azab-e-nihan nahin
logon ka haal mere watan mein 'ajib hai
koi hai faqa-kash to kisi ko aman nahin
zinda hain kis tarah se mere ham-watan yahan
ummid-e-raushni ka jahan par nishan nahin
aal-e-‘aba ke dar se mili raushni mujhe
warna shab-e-siyah mein is ka guman nahin
ek man ke dam se zist mein raunaq thi barqarar
ab wo nahin to raunaq-e-bazm-e-jahan nahin
manzil ko pa sakegi bhala kya hamari qaum
ek muntashir hujum hai ye karwan nahin
chhani hai KHak hum ne bahut ku-e-yar ki
'ja'far' is 'ashiqi se kisi ko aman nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.