is darja bhag dauD ke itna kamaenge
is darja bhag dauD ke itna kamaenge
Jaleel Arshad Khan Rashid
MORE BYJaleel Arshad Khan Rashid
is darja bhaag dauḌ ke itnā kamā.enge
ham zindagī kī shaam talak ghar banā.eñge
pahle to zindagī kī bahut chaah thī hameñ
kis ko ḳhabar thī raah meñ ye moḌ ā.eñge
kahte haiñ kaT hī jaatī hai umr-e-darāz bhī
so mutma.in haiñ apne bhī din biit jā.eñge
mahrūmiyoñ ke daaġh nā-āsūda ḳhvāhisheñ
in sab ke saath ham tujhe kyā muñh dikhā.eñge
mar kar bhī ḳhvāhishoñ se na mil pā.egī najāt
ham ḳhvāhish-e-bahisht ke chakkar meñ ā.eñge
allāh mehrbān bhī aadil bhī hai 'jalīl'
chaliye usī se chal ke zarā lau lagā.eñge
is darja bhag dauD ke itna kamaenge
hum zindagi ki sham talak ghar banaenge
pahle to zindagi ki bahut chah thi hamein
kis ko KHabar thi rah mein ye moD aaenge
kahte hain kaT hi jati hai umr-e-daraaz bhi
so mutmain hain apne bhi din bit jaenge
mahrumiyon ke dagh na-asuda KHwahishen
in sab ke sath hum tujhe kya munh dikhaenge
mar kar bhi KHwahishon se na mil paegi najat
hum KHwahish-e-bahisht ke chakkar mein aaenge
allah mehrban bhi aadil bhi hai 'jalil'
chaliye usi se chal ke zara lau lagaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.