Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is darja ishq maujib-e-ruswai ban gaya

Saghar Siddiqui

is darja ishq maujib-e-ruswai ban gaya

Saghar Siddiqui

is darja ishq maujib-e-rusvā.ī ban gayā

maiñ āp-apne ghar tamāshā.ī ban gayā

dair o haram raah se dil bach gayā magar

terī galī ke moḌ pe saudā.ī ban gayā

bazm-e-vafā meñ aap se ik pal sāmnā

yaad aa gayā to ahd-e-shanāsā.ī ban gayā

be-sāḳhta bikhar ga.ī jalvoñ kā.enāt

ā.īna TuuT kar tirī añgḌā.ī ban gayā

dekhī jo raqs kartī huī mauj-e-zindagī

merā ḳhayāl vaqt shahnā.ī ban gayā

is darja ishq maujib-e-ruswai ban gaya

main aap-apne ghar ka tamashai ban gaya

dair o haram ki rah se dil bach gaya magar

teri gali ke moD pe saudai ban gaya

bazm-e-wafa mein aap se ek pal ka samna

yaad aa gaya to ahd-e-shanasai ban gaya

be-saKHta bikhar gai jalwon ki kaenat

aaina TuT kar teri angDai ban gaya

dekhi jo raqs karti hui mauj-e-zindagi

mera KHayal waqt ki shahnai ban gaya

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now