is darja jal raha hun badan ke alaw mein
is darja jal rahā huuñ badan ke alaav meñ
sūraj utar ga.e haiñ mire ghaav ghaav meñ
jamne lagā ragoñ meñ lahū barf kī tarah
phir koī tairtā hai nazar ke bahāv meñ
ik aan meñ zamīr kā paanī utar gayā
kuchh farq aa gayā jo kahīñ rakh-rakhāv meñ
aisā na ho buland sitāre bhī Duub jaa.eñ
lambā safar na kījiye kāġhaz kī naav meñ
is darja jal raha hun badan ke alaw mein
suraj utar gae hain mere ghaw ghaw mein
jamne laga ragon mein lahu barf ki tarah
phir koi tairta hai nazar ke bahaw mein
ek aan mein zamir ka pani utar gaya
kuchh farq aa gaya jo kahin rakh-rakhaw mein
aisa na ho buland sitare bhi Dub jaen
lamba safar na kijiye kaghaz ki naw mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.