is darja mutmain hain teri dosti se hum
is darja mutma.in haiñ tirī dostī se ham
māñge agar to jaan bhī deñge ḳhushī se ham
kah Dāliye jo aap ke dil meñ hai be-dhaḌak
karte nahīñ haiñ baat kisī kī kisī se ham
hai un kī baat aur hai un kā hisāb aur
vaise to pyaar karte haiñ har aadmī se ham
yā-rab abhī bhī hai tirī rahmat pe e.atibār
be-shak haiñ be-hisāb ḳhafā zindagī se ham
achchhī lagīñ sabhī ko hamārī nasīhateñ
kahte haiñ talḳh baat bhī is sādgī se ham
hogī to jiit us kī bahar-hāl ishq meñ
kitnā kareñ muqābla mardāngī se ham
rahtā nahīñ mizāj hamesha to ek sā
kab tak saheñge jaur tire ḳhāmushī se ham
'parvāz' zindagī meñ jo honā thā ho chukā
kyoñ jaate jaate tauba kareñ mai-kashī se ham
is darja mutmain hain teri dosti se hum
mange agar to jaan bhi denge KHushi se hum
kah Daliye jo aap ke dil mein hai be-dhaDak
karte nahin hain baat kisi ki kisi se hum
hai un ki baat aur hai un ka hisab aur
waise to pyar karte hain har aadmi se hum
ya-rab abhi bhi hai teri rahmat pe eatibar
be-shak hain be-hisab KHafa zindagi se hum
achchhi lagin sabhi ko hamari nasihaten
kahte hain talKH baat bhi is sadgi se hum
hogi to jit us ki bahar-haal ishq mein
kitna karen muqabla mardangi se hum
rahta nahin mizaj hamesha to ek sa
kab tak sahenge jaur tere KHamushi se hum
'parwaz' zindagi mein jo hona tha ho chuka
kyon jate jate tauba karen mai-kashi se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.