is daur-e-gham mein shoKH tabiat kahan se laen
is daur-e-ġham meñ shoḳh tabī.at kahāñ se laa.eñ
har vaqt muskurāne kī aadat kahāñ se laa.eñ
rāhat ho jis meñ aisī aziyyat kahāñ se laa.eñ
dozaḳh meñ rah ke ishrat-e-jannat kahāñ se laa.eñ
un ke baġhair ġham kī masarrat kahāñ se laa.eñ
ik nuur meñ Dhalī huī zulmat kahāñ se laa.eñ
un kī mohabbat un kī ināyat kahāñ se laa.eñ
ai zindagī tire liye jannat kahāñ se laa.eñ
vo ā.eñge zarūr hameñ bhī yaqīn hai
lekin ab intizār kī tāqat kahāñ se laa.eñ
is daur-e-gham mein shoKH tabiat kahan se laen
har waqt muskurane ki aadat kahan se laen
rahat ho jis mein aisi aziyyat kahan se laen
dozaKH mein rah ke ishrat-e-jannat kahan se laen
un ke baghair gham ki masarrat kahan se laen
ek nur mein Dhali hui zulmat kahan se laen
un ki mohabbat un ki inayat kahan se laen
ai zindagi tere liye jannat kahan se laen
wo aaenge zarur hamein bhi yaqin hai
lekin ab intizar ki taqat kahan se laen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.