is daur-e-jahl mein ye siyasat fasad hai
is daur-e-jahl meñ ye siyāsat fasād hai
har sū hai iḳhtilāf kahāñ ittihād hai
puujā ho yā namāz ho sab haiñ ibādateñ
ham sab haiñ bhaa.ī bhaa.ī na hargiz tazād ho
hargiz na tum jihād kaho mār-kāT ko
laḌ jaanā apne nafs se aslī jihād hai
shāne se shāna joḌ milā kar chalo qadam
'haidar' suno isī meñ hamārā mafād hai
is daur-e-jahl mein ye siyasat fasad hai
har su hai iKHtilaf kahan ittihad hai
puja ho ya namaz ho sab hain ibaadaten
hum sab hain bhai bhai na hargiz tazad ho
hargiz na tum jihad kaho mar-kaT ko
laD jaana apne nafs se asli jihad hai
shane se shana joD mila kar chalo qadam
'haidar' suno isi mein hamara mafad hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.