is daur ke aaqaon ki aadat nahin badli
is daur ke āqāoñ kī aadat nahīñ badlī
ham jaise faqīroñ kī bhī fitrat nahīñ badlī
masjid bhī ga.e aur shivāla bhī ga.e ham
is dil ne magar terī ibādat nahīñ badlī
tadbīr se taqdīr ne paa.ī hai bulandī
hāthoñ kī lakīroñ se to qismat nahīñ badlī
sadiyoñ se use dekh rahā hai ye zamāna
kyā baat hai ā.īne kī sūrat nahīñ badlī
mele meñ kahīñ kho ga.e haiñ phuul se bachche
lekin abhī māñ-bāp kī rangat nahīñ badlī
is daur ke aaqaon ki aadat nahin badli
hum jaise faqiron ki bhi fitrat nahin badli
masjid bhi gae aur shiwala bhi gae hum
is dil ne magar teri ibaadat nahin badli
tadbir se taqdir ne pai hai bulandi
hathon ki lakiron se to qismat nahin badli
sadiyon se use dekh raha hai ye zamana
kya baat hai aaine ki surat nahin badli
mele mein kahin kho gae hain phul se bachche
lekin abhi man-bap ki rangat nahin badli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.