is daur ki palkon pe hain aansu ki tarah hum
is daur kī palkoñ pe haiñ aañsū kī tarah ham
kuchh der meñ uḌ jā.eñge ḳhushbū kī tarah ham
baḌh kar kisī dāman ne bhī ham ko na sambhālā
āñkhoñ se Tapakte rahe aañsū kī tarah ham
kis phuul se bichhḌe haiñ ki phirte haiñ pareshāñ
jañgal meñ bhaTaktī huī ḳhushbū kī tarah ham
ab din ke ujāle meñ hameñ kaun pukāre
chamke the kabhī raat meñ jugnū kī tarah ham
har moḌ pe aa.iiñ tire dāman kī havā.eñ
har chhāñv ko samjhe tire gesū kī tarah ham
'qaisar' hameñ duniyā ne samajh kar bhī na samjhā
uljhe hī rahe kākul-e-urdu kī tarah ham
is daur ki palkon pe hain aansu ki tarah hum
kuchh der mein uD jaenge KHushbu ki tarah hum
baDh kar kisi daman ne bhi hum ko na sambhaala
aankhon se Tapakte rahe aansu ki tarah hum
kis phul se bichhDe hain ki phirte hain pareshan
jangal mein bhaTakti hui KHushbu ki tarah hum
ab din ke ujale mein hamein kaun pukare
chamke the kabhi raat mein jugnu ki tarah hum
har moD pe aain tere daman ki hawaen
har chhanw ko samjhe tere gesu ki tarah hum
'qaisar' hamein duniya ne samajh kar bhi na samjha
uljhe hi rahe kakul-e-urdu ki tarah hum
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 230)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.