is daur mein aisa koi insan nahin hai
is daur meñ aisā koī insān nahīñ hai
jo sozish-e-pinhāñ se pareshān nahīñ hai
le Duubī tamannā-e-guhar mujh ko bhī yaaro
dariyā se ubharne kā ab imkān nahīñ hai
ham par hī bas ilzām lagā jalte dinoñ kā
ik talḳh haqīqat hai ye bohtān nahīñ hai
har gaam pe hai dil ke luTeroñ kā baserā
is raah pe chalnā koī āsān nahīñ hai
ehsās ke sāhil pe khaḌā soch rahā huuñ
lafzoñ ke samundar meñ vo tūfān nahīñ hai
bhañvre to bahut chaav se phir aate haiñ 'anjum'
aur aaj mirī mez pe gul-dān nahīñ hai
is daur mein aisa koi insan nahin hai
jo sozish-e-pinhan se pareshan nahin hai
le Dubi tamanna-e-guhar mujh ko bhi yaro
dariya se ubharne ka ab imkan nahin hai
hum par hi bas ilzam laga jalte dinon ka
ek talKH haqiqat hai ye bohtan nahin hai
har gam pe hai dil ke luTeron ka basera
is rah pe chalna koi aasan nahin hai
ehsas ke sahil pe khaDa soch raha hun
lafzon ke samundar mein wo tufan nahin hai
bhanwre to bahut chaw se phir aate hain 'anjum'
aur aaj meri mez pe gul-dan nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.