is daur mein jine ka sabab kis se kahen kya
is daur meñ jiine kā sabab kis se kaheñ kyā
ye sochnā paḌtā hai ki kab kis se kaheñ kyā
tarġhīb-e-ḳhud-īzā.ī to un hoñToñ ne dī thī
kyuuñ phūñk dī duniyā-e-tarab kis se kaheñ kyā
har koī to apne ko yahāñ bech rahā hai
phailā.eñ kahāñ dast-e-talab kis se kaheñ kyā
din shakloñ ke sailāb meñ bah jaatā hai lekin
mere liye kyā laatī hai shab kis se kaheñ kyā
bas karb kī chādar mire tan se na haTānā
baaqī nahīñ kuchh kahne ko ab kis se kaheñ kyā
is bazm-e-alā.eq meñ na sāme.a hai na bāsir
har samt hai ik shor-o-shaġhab kis se kaheñ kyā
be-kār taqāzā-e-vafā karnā hai 'hamdūn'
ab ho bhī chuke jān-ba-lab kis se kaheñ kyā
is daur mein jine ka sabab kis se kahen kya
ye sochna paDta hai ki kab kis se kahen kya
targhib-e-KHud-izai to un honTon ne di thi
kyun phunk di duniya-e-tarab kis se kahen kya
har koi to apne ko yahan bech raha hai
phailaen kahan dast-e-talab kis se kahen kya
din shaklon ke sailab mein bah jata hai lekin
mere liye kya lati hai shab kis se kahen kya
bas karb ki chadar mere tan se na haTana
baqi nahin kuchh kahne ko ab kis se kahen kya
is bazm-e-alaeq mein na samea hai na basir
har samt hai ek shor-o-shaghab kis se kahen kya
be-kar taqaza-e-wafa karna hai 'hamdun'
ab ho bhi chuke jaan-ba-lab kis se kahen kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.