is daur mein jismon ke KHaridar bahut hain
is daur meñ jismoñ ke ḳharīdār bahut haiñ
har samt gunāhoñ ke bhī bāzār bahut haiñ
bālīdgiyāñ rūh-e-adab meñ to sameTo
aslāf ke is hind meñ āsār bahut haiñ
tahqīq tumhārī ye adhūrī hī rahegī
qudrat ke jahāñ meñ abhī asrār bahut haiñ
tum shauq se shahroñ ke ujāloñ se ho mahzūz
mere liye pātāl ziyā-bār bahut haiñ
gulzār-e-rivāyat se zarā zehn ko moḌo
jiddat ke bayābān meñ ashjār bahut haiñ
sab par gul-e-ra.anā kī to hotī hai navāzish
kyā mere muqaddar ke liye ḳhaar bahut haiñ
'qudsī' to akelā nahīñ maidān-e-suḳhan meñ
har kūcha-o-bāzār meñ fan-kār bahut haiñ
is daur mein jismon ke KHaridar bahut hain
har samt gunahon ke bhi bazar bahut hain
baalidgiyan ruh-e-adab mein to sameTo
aslaf ke is hind mein aasar bahut hain
tahqiq tumhaari ye adhuri hi rahegi
qudrat ke jahan mein abhi asrar bahut hain
tum shauq se shahron ke ujalon se ho mahzuz
mere liye patal ziya-bar bahut hain
gulzar-e-riwayat se zara zehn ko moDo
jiddat ke bayaban mein ashjar bahut hain
sab par gul-e-rana ki to hoti hai nawazish
kya mere muqaddar ke liye KHar bahut hain
'qudsi' to akela nahin maidan-e-suKHan mein
har kucha-o-bazar mein fan-kar bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.