is dhup se kya gila hai mujhko
is dhuup se kyā gila hai mujh ko
saa.e ne jalā diyā hai mujh ko
maiñ nāla-e-sukūt sañg kā huuñ
sahrā ne bahut sunā hai mujh ko
maiñ lafz kī tarah be-zabāñ thā
ma.anī ne adā kiyā hai mujh ko
har sach kā nasīb sañg-sārī
aur sach hī se vāsta hai mujh ko
ḳhā.if nahīñ marg-e-nā-gahāñ se
siine kā vo hausla hai mujh ko
patthar pe mirī sadā kā saaya
ā.īna dikhā rahā hai mujh ko
āvāz de mujh ko tīrgī meñ
āvāz hī naqsh-e-pā hai mujh ko
is dhup se kya gila hai mujh ko
sae ne jala diya hai mujh ko
main nala-e-sukut sang ka hun
sahra ne bahut suna hai mujh ko
main lafz ki tarah be-zaban tha
mani ne ada kiya hai mujh ko
har sach ka nasib sang-sari
aur sach hi se wasta hai mujh ko
KHaif nahin marg-e-na-gahan se
sine ka wo hausla hai mujh ko
patthar pe meri sada ka saya
aaina dikha raha hai mujh ko
aawaz de mujh ko tirgi mein
aawaz hi naqsh-e-pa hai mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.