is dil-e-sada ki tasalli ko
is dil-e-sāda kī tasallī ko
ik fareb-e-vafā-numā hai bahut
yaad rakkho to dil ke paas haiñ ham
bhuul jaao to fāsla hai bahut
koī vā'da koī umiid nahīñ
ab sukūñ dil ko aa chalā hai bahut
ham bichhaḌ kar bhī tujh se jī leñge
terī yādoñ kā aasrā hai bahut
aish-e-duniyā bhī kam nahīñ lekin
dil tire ġham se āshnā hai bahut
koī āvāz-e-bāzgasht sahī
ġham kā sannāTā baḌh chalā hai bahut
is dil-e-sada ki tasalli ko
ek fareb-e-wafa-numa hai bahut
yaad rakkho to dil ke pas hain hum
bhul jao to fasla hai bahut
koi wa'da koi umid nahin
ab sukun dil ko aa chala hai bahut
hum bichhaD kar bhi tujh se ji lenge
teri yaadon ka aasra hai bahut
aish-e-duniya bhi kam nahin lekin
dil tere gham se aashna hai bahut
koi aawaz-e-bazgasht sahi
gham ka sannaTa baDh chala hai bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.