is dil ko kya kahen ki jidhar tha udhar na tha
is dil ko kyā kaheñ ki jidhar thā udhar na thā
thā jis pe e.atibār vahī mo'atabar na thā
the raah meñ hazār koī raah par na thā
hamrāh to bahut the koī ham-safar na thā
ahl-e-havas tamām the āġhosh vā kiye
par apnī tarah ek bhī sīna-sipar na thā
parvāz thī fazā-e-zamān-o-makāñ se duur
maiñ be-niyāz-e-dahr thā be-bāl-o-par na thā
har-sū basī huī thī magar DhūñDte kahāñ
ḳhushbū kā koī rañg na thā koī ghar na thā
apnī hī kuchh kamī thī jo nākām ham hue
dil kār-band-e-shauq to thā kār-gar na thā
'bāqar' havā-e-shauq uḌaa.e phirī mujhe
maiñ ḳhānumāñ-ḳharāb sahī dar-ba-dar na thā
is dil ko kya kahen ki jidhar tha udhar na tha
tha jis pe eatibar wahi mo'atabar na tha
the rah mein hazar koi rah par na tha
hamrah to bahut the koi ham-safar na tha
ahl-e-hawas tamam the aaghosh wa kiye
par apni tarah ek bhi sina-sipar na tha
parwaz thi faza-e-zaman-o-makan se dur
main be-niyaz-e-dahr tha be-baal-o-par na tha
har-su basi hui thi magar DhunDte kahan
KHushbu ka koi rang na tha koi ghar na tha
apni hi kuchh kami thi jo nakaam hum hue
dil kar-band-e-shauq to tha kar-gar na tha
'baqar' hawa-e-shauq uDae phiri mujhe
main KHanuman-KHarab sahi dar-ba-dar na tha
- Book : Kulliyat-e-Baqir (Pg. 249)
- Author : Sajjad Baqir Rizvi
- Publication : Sayyed Mohammad Ali Anjum Rizvi (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.