is dil ko tah-e-tegh sula kyon nahin dete
is dil ko tah-e-teġh sulā kyoñ nahīñ dete
har roz kā jhagḌā hai miTā kyoñ nahīñ dete
chehre se naqāb aap uThā kyoñ nahīñ dete
halkī sī jhalak ek dikhā kyoñ nahīñ dete
hairāñ huuñ ki ye shoḳh-o-hasīñ māh-jabīñ log
badle meñ vafāoñ ke vafā kyoñ nahīñ dete
rahzan ho to phir saath chale aate ho kyūñkar
rahbar ho to manzil kā pata kyoñ nahīñ dete
ġham aur bhī dil kā jo shab-e-hijr baḌhā.e
is sham-e-fasurda ko bujhā kyoñ nahīñ dete
is dil kī tabāhī pe pashemāñ ho agar tum
is ḳhāna-vīrāñ ko basā kyoñ nahīñ dete
vo baat ki jo tark-e-ta.alluq kā sabab hai
vo baat hameñ aap batā kyoñ nahīñ dete
betāb mohabbat meñ ho gar itne hī 'nayyar'
afsāna-e-dil un ko sunā kyoñ nahīñ dete
is dil ko tah-e-tegh sula kyon nahin dete
har roz ka jhagDa hai miTa kyon nahin dete
chehre se naqab aap uTha kyon nahin dete
halki si jhalak ek dikha kyon nahin dete
hairan hun ki ye shoKH-o-hasin mah-jabin log
badle mein wafaon ke wafa kyon nahin dete
rahzan ho to phir sath chale aate ho kyunkar
rahbar ho to manzil ka pata kyon nahin dete
gham aur bhi dil ka jo shab-e-hijr baDhae
is sham-e-fasurda ko bujha kyon nahin dete
is dil ki tabahi pe pasheman ho agar tum
is KHana-viran ko basa kyon nahin dete
wo baat ki jo tark-e-talluq ka sabab hai
wo baat hamein aap bata kyon nahin dete
betab mohabbat mein ho gar itne hi 'nayyar'
afsana-e-dil un ko suna kyon nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.