is duniya mein tanha hun
is duniyā meñ tanhā huuñ
maiñ be-nām sā chehrā huuñ
kaisī bāteñ karte ho
maiñ bhī tumhārā hissa huuñ
us kī galī tak jo jaa.e
maiñ ik aisā rasta huuñ
aañsū kī ik buuñd huuñ maiñ
aur āñkhoñ meñ rahtā huuñ
dar ḳhud hī khul jaatā hai
maiñ kab dastak detā huuñ
tujh ko bhī kuchh jaldī hai
maiñ bhī jaane vaalā huuñ
aane vaale vaqtoñ kā
maiñ ik guzrā lamha huuñ
mujh par jhuuT kī tohmat hai
ya.anī maiñ bhī sachchā huuñ
phir se merā haath pakaḌ
maiñ to dekhā bhālā huuñ
āñkheñ surḳh to hoñgī naañ
ḳhvāboñ kā rakhvālā huuñ
is duniya mein tanha hun
main be-nam sa chehra hun
kaisi baaten karte ho
main bhi tumhaara hissa hun
us ki gali tak jo jae
main ek aisa rasta hun
aansu ki ek bund hun main
aur aankhon mein rahta hun
dar KHud hi khul jata hai
main kab dastak deta hun
tujh ko bhi kuchh jaldi hai
main bhi jaane wala hun
aane wale waqton ka
main ek guzra lamha hun
mujh par jhuT ki tohmat hai
yani main bhi sachcha hun
phir se mera hath pakaD
main to dekha bhaala hun
aankhen surKH to hongi nan
KHwabon ka rakhwala hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.