is duniya mein yun to mile hain pyar ke dawedar bahut
is duniya mein yun to mile hain pyar ke dawedar bahut
Tufail Hoshiarpuri
MORE BYTufail Hoshiarpuri
is duniyā meñ yuuñ to mile haiñ pyaar ke da.avedār bahut
mushkil meñ kaam ek na aaya dekhe ham ne yaar bahut
pyaar kī rāheñ avval avval sahl dikhā.ī detī thiiñ
āḳhir āḳhir ilm huā ye manzil hai dushvār bahut
muñh ke mīThe man ke khoTe jaan ke vo dushman nikle
is nagrī meñ jin ko ham ne samjhā thā ġham-ḳhvār bahut
jin āñkhoñ meñ Duub ke ham ne chāhā thā sukh pā.eñge
un āñkhoñ meñ Duub ke ham ne paa.e haiñ āzār bahut
qismat se miltā hai sāhil ummīdoñ kī kashtī ko
sāhil se sāhil tak varna phaile haiñ mañjdhār bahut
aap ke gītoñ kī duniyā meñ baat anokhī hai pyāre
sher is rang meñ kahne vaale dekhe haiñ fankār bahut
is duniya mein yun to mile hain pyar ke dawedar bahut
mushkil mein kaam ek na aaya dekhe hum ne yar bahut
pyar ki rahen awwal awwal sahl dikhai deti thin
aaKHir aaKHir ilm hua ye manzil hai dushwar bahut
munh ke miThe man ke khoTe jaan ke wo dushman nikle
is nagri mein jin ko hum ne samjha tha gham-KHwar bahut
jin aankhon mein Dub ke hum ne chaha tha sukh paenge
un aankhon mein Dub ke hum ne pae hain aazar bahut
qismat se milta hai sahil ummidon ki kashti ko
sahil se sahil tak warna phaile hain manjdhaar bahut
aap ke giton ki duniya mein baat anokhi hai pyare
sher is rang mein kahne wale dekhe hain fankar bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.