is duniya se Darta hun
is duniyā se Dartā huuñ
ya.anī bilkul tanhā huuñ
burī misāleñ dete ho
aur kahte ho achchhā huuñ
tumheñ guzārā karnā hai
maiñ chāhe ab jaisā huuñ
jaise haiñ a.amāl mire
mālik terā banda huuñ
qismat bhale se jo bhī hai
sher to achchhe kahtā huuñ
'farhat' aur nazar se dekh
nahīñ huuñ lekin dikhtā huuñ
is duniya se Darta hun
yani bilkul tanha hun
buri misalen dete ho
aur kahte ho achchha hun
tumhein guzara karna hai
main chahe ab jaisa hun
jaise hain aamal mere
malik tera banda hun
qismat bhale se jo bhi hai
sher to achchhe kahta hun
'farhat' aur nazar se dekh
nahin hun lekin dikhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.