is ek baat mein hai meri dastan tamam
is ek baat meñ hai mirī dāstāñ tamām
suniye to sar se paañv talak huuñ zabāñ tamām
dar aa.e chor chāñd kā darvāza toḌ kar
din-bhar dhuāñ-dhuāñ sā rahā āsmāñ tamām
hoñToñ pe phuul hāthoñ meñ ḳhanjar liye hue
ghere mujhe khaḌe haiñ mire mehrbāñ tamām
bachche ne is adā se chavannī baḌhā.ī hai
jaise ki vo ḳharīd rahā ho dukāñ tamām
jin ko koī qubūl na kartā ho sharm se
likh do hamāre naam vo rusvā.iyāñ tamām
do-chār qahqahoñ meñ nikal jā.egī bhaḌās
siine meñ kyoñ sameT rahe ho dhuāñ tamām
hai zūd-goī jurm 'muzaffar' 'ilāj kar
yuuñ to na hogī āmad-e-tab'-e-ravāñ tamām
is ek baat mein hai meri dastan tamam
suniye to sar se panw talak hun zaban tamam
dar aae chor chand ka darwaza toD kar
din-bhar dhuan-dhuan sa raha aasman tamam
honTon pe phul hathon mein KHanjar liye hue
ghere mujhe khaDe hain mere mehrban tamam
bachche ne is ada se chawanni baDhai hai
jaise ki wo KHarid raha ho dukan tamam
jin ko koi qubul na karta ho sharm se
likh do hamare nam wo ruswaiyan tamam
do-chaar qahqahon mein nikal jaegi bhaDas
sine mein kyon sameT rahe ho dhuan tamam
hai zud-goi jurm 'muzaffar' 'ilaj kar
yun to na hogi aamad-e-tab'-e-rawan tamam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.