is ek baat pe rah rah ke din guzare hain
is ek baat pe rah rah ke din guzāre haiñ
kisī ke ho na sake ham so ab tumhāre haiñ
hai lahar-lahar terā rāsta ḳhudā hāfiz
hamārā kaam yahīñ tak thā ham kināre haiñ
hai ik jahān kā bār-e-garāñ hamāre sar
so do jahān tere dosh ke sahāre haiñ
jo prem jhiil meñ bikhre hue haiñ dil kankar
kisī ke hijr ne ye pāniyoñ pe maare haiñ
vo log ḳhvāb bharī aañkh le kar aa.e the
ab un ke haath meñ TuuTe hue sitāre haiñ
is ek baat pe rah rah ke din guzare hain
kisi ke ho na sake hum so ab tumhaare hain
hai lahar-lahar tera rasta KHuda hafiz
hamara kaam yahin tak tha hum kinare hain
hai ek jahan ka bar-e-garan hamare sar
so do jahan tere dosh ke sahaare hain
jo prem jhil mein bikhre hue hain dil kankar
kisi ke hijr ne ye paniyon pe mare hain
wo log KHwab bhari aankh le kar aae the
ab un ke hath mein TuTe hue sitare hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.