is gham-e-dil ka koi sira hi nahin
is ġham-e-dil kā koī sirā hī nahīñ
rāh-e-manzil kā koī sirā hī nahīñ
saañs ukhaḌne lagī dil bhī nā-sāz hai
daur-e-mushkil kā koī sirā hī nahīñ
tum bhale chhoḌ jāoge mujh ko sanam
'ishq-bismil kā koī sirā hī nahīñ
maiñ rafīqoñ meñ baiThā huā huuñ magar
fikr-e-qātil kā koī sirā hī nahīñ
ye 'azāboñ meñ bhī DhūñDh legā ḳhushī
himmat-e-dil kā koī sirā hī nahīñ
is gham-e-dil ka koi sira hi nahin
rah-e-manzil ka koi sira hi nahin
sans ukhaDne lagi dil bhi na-saz hai
daur-e-mushkil ka koi sira hi nahin
tum bhale chhoD jaoge mujh ko sanam
'ishq-bismil ka koi sira hi nahin
main rafiqon mein baiTha hua hun magar
fikr-e-qatil ka koi sira hi nahin
ye 'azabon mein bhi DhunDh lega KHushi
himmat-e-dil ka koi sira hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.