is gham-kade se kuchh na laga hath hamare
is ġham-kade se kuchh na lagā haath hamāre
āh-e-dil-e-sozāñ hī chalī saath hamāre
dard-o-ġham-o-andoh-o-alam nāla-e-jāñ-kāh
haiñ dushman-e-jānī sabhī yak zaat hamāre
jis ghaat se dil tū ne liyā yaar hamārā
afsos ki haath aa.ī na vo ghaat hamāre
ḳhatra na karo aao milo shauq se pyāre
jo samjhe ho dil meñ nahīñ vo baat hamāre
kyā ham ne bigāḌā falak-e-sifla kā 'joshish'
kyuuñ darpai-e-īzā hai ye din raat hamāre
is gham-kade se kuchh na laga hath hamare
aah-e-dil-e-sozan hi chali sath hamare
dard-o-gham-o-andoh-o-alam nala-e-jaan-kah
hain dushman-e-jaani sabhi yak zat hamare
jis ghat se dil tu ne liya yar hamara
afsos ki hath aai na wo ghat hamare
KHatra na karo aao milo shauq se pyare
jo samjhe ho dil mein nahin wo baat hamare
kya hum ne bigaDa falak-e-sifla ka 'joshish'
kyun darpai-e-iza hai ye din raat hamare
- Deewan-e-Joshish(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.