is gham ko iKHtiyar nahin kar raha hun main
is ġham ko iḳhtiyār nahīñ kar rahā huuñ maiñ
ye to nahīñ ki pyaar nahīñ kar rahā huuñ maiñ
apnī udāsiyoñ ke nashe meñ huuñ āj-kal
shaġhl-e-ḳhum-o-ḳhumār nahīñ kar rahā huuñ maiñ
kuchh der se hai rañg-e-tamāshā rukā huā
ik tiir dil se paar nahīñ kar rahā huuñ maiñ
ab dekhtā huuñ raah meñ duniyā sajī hoī
ab terā intizār nahīñ kar rahā huuñ maiñ
maiñ aap apnā dard jagātā huuñ raat bhar
kuchh tum pe inhisār nahīñ kar rahā huuñ maiñ
le rakh tū apnā harf-e-tasallī bhī paas rakh
ye koī kārobār nahīñ kar rahā huuñ maiñ
maiñ ziist kar rahā huuñ ye tum ko ḳhabar nahīñ
tum par to jāñ-nisār nahīñ kar rahā huuñ maiñ
hai dasht ye bhī hadd-e-tasavvur meñ is liye
is dasht ko bhī paar nahīñ kar rahā huuñ maiñ
kyā raaz hai ki jis ko batāne se peshtar
apnā bhī e'tibār nahīñ kar rahā huuñ maiñ
yuuñ to rahe ho tum bhī saf-e-dushmanāñ meñ dost
lekin tumheñ shumār nahīñ kar rahā huuñ maiñ
is gham ko iKHtiyar nahin kar raha hun main
ye to nahin ki pyar nahin kar raha hun main
apni udasiyon ke nashe mein hun aaj-kal
shaghl-e-KHum-o-KHumar nahin kar raha hun main
kuchh der se hai rang-e-tamasha ruka hua
ek tir dil se par nahin kar raha hun main
ab dekhta hun rah mein duniya saji hoi
ab tera intizar nahin kar raha hun main
main aap apna dard jagata hun raat bhar
kuchh tum pe inhisar nahin kar raha hun main
le rakh tu apna harf-e-tasalli bhi pas rakh
ye koi karobar nahin kar raha hun main
main zist kar raha hun ye tum ko KHabar nahin
tum par to jaan-nisar nahin kar raha hun main
hai dasht ye bhi hadd-e-tasawwur mein is liye
is dasht ko bhi par nahin kar raha hun main
kya raaz hai ki jis ko batane se peshtar
apna bhi e'tibar nahin kar raha hun main
yun to rahe ho tum bhi saf-e-dushmanan mein dost
lekin tumhein shumar nahin kar raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.