is ghar mein mere sath basar kar ke to dekho
is ghar meñ mire saath basar kar ke to dekho
TuuTī huī kashtī meñ safar kar ke to dekho
dhartī se bichhaḌne kī sazā kahte haiñ kis ko
tūfāñ meñ jazīroñ pe nazar kar ke to dekho
ḳhvāboñ ko salīboñ pe sajā pāoge har sū
āñkhoñ ke bayābāñ se guzar kar ke to dekho
mumkin hai ki neze pe uThā le koī baḌh kar
maqtal ke havāle zarā sar kar ke to dekho
shāyad ke ubhar aa.eñ gharoñ ke dar-o-dīvār
us raakh ko tum ashkoñ se tar kar ke to dekho
is ghar mein mere sath basar kar ke to dekho
TuTi hui kashti mein safar kar ke to dekho
dharti se bichhaDne ki saza kahte hain kis ko
tufan mein jaziron pe nazar kar ke to dekho
KHwabon ko salibon pe saja paoge har su
aankhon ke bayaban se guzar kar ke to dekho
mumkin hai ki neze pe uTha le koi baDh kar
maqtal ke hawale zara sar kar ke to dekho
shayad ke ubhar aaen gharon ke dar-o-diwar
us rakh ko tum ashkon se tar kar ke to dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.