is guzarte waqt ki ye tarjumani dekhna
is guzarte vaqt kī ye tarjumānī dekhnā
maiñ za.īfī dekhtā huuñ tum javānī dekhnā
kis qadar hai nā-tavāñ ki ek tinke kī tarah
vaqt ke dariyā meñ bahtī zindagānī dekhnā
aaj phir āvārgī meñ sū-e-sahrā jo gayā
aap us kī aaj qismat-āzmā.ī dekhnā
ham samajhte haiñ mohabbat kā hai jo matlab magar
dil pe kahtā hai ki phir us ke ma.ānī dekhnā
maiñ tumhārī muskurāhaT dekhne aa jā.ūñgā
tum kabhī aa kar mirī āñkhoñ meñ paanī dekhnā
is guzarte waqt ki ye tarjumani dekhna
main zaifi dekhta hun tum jawani dekhna
kis qadar hai na-tawan ki ek tinke ki tarah
waqt ke dariya mein bahti zindagani dekhna
aaj phir aawargi mein su-e-sahra jo gaya
aap us ki aaj qismat-azmai dekhna
hum samajhte hain mohabbat ka hai jo matlab magar
dil pe kahta hai ki phir us ke maani dekhna
main tumhaari muskurahaT dekhne aa jaunga
tum kabhi aa kar meri aankhon mein pani dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.