is haqiqat ke siwa kya shahr kya virana tha
is haqiqat ke siwa kya shahr kya virana tha
Abdul Majeed Dard Bhopali
MORE BYAbdul Majeed Dard Bhopali
is haqīqat ke sivā kyā shahr kyā vīrāna thā
yā mirā afsāna thā yā aap kā afsāna thā
sehr āñkhoñ kā tirī kyā sāqi-e-mai-ḳhāna thā
mai-kashoñ par kaif taarī raqs meñ paimāna thā
yuuñ tajassus meñ kisī kī phir rahā thā kū-bakū
ashk-e-ḳhūñ āñkhoñ meñ lab par ishq kā afsāna thā
vo bhī kyā din kyā zamāna thā ki jab sab ke liye
faiz-e-sāqī aam thā aur vā dar-e-mai-ḳhāna thā
rah gayā ban kar junūn-e-ishq sharh-e-kā.enāt
ek vo lafz-e-anal-haq jo ki gustāḳhāna thā
ek hī markaz pe thā nazzāra-e-nāz-o-niyāz
merī sūrat se ayaañ aks-e-ruḳh-e-jānāna thā
'dard' us kī zindagī bhī thī bhalā kyā zindagī
ġham se jo nā-āshnā thā dard se begāna thā
is haqiqat ke siwa kya shahr kya virana tha
ya mera afsana tha ya aap ka afsana tha
sehr aankhon ka teri kya saqi-e-mai-KHana tha
mai-kashon par kaif tari raqs mein paimana tha
yun tajassus mein kisi ki phir raha tha ku-baku
ashk-e-KHun aankhon mein lab par ishq ka afsana tha
wo bhi kya din kya zamana tha ki jab sab ke liye
faiz-e-saqi aam tha aur wa dar-e-mai-KHana tha
rah gaya ban kar junun-e-ishq sharh-e-kaenat
ek wo lafz-e-anal-haq jo ki gustaKHana tha
ek hi markaz pe tha nazzara-e-naz-o-niyaz
meri surat se ayan aks-e-ruKH-e-jaanana tha
'dard' us ki zindagi bhi thi bhala kya zindagi
gham se jo na-ashna tha dard se begana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.