is haqiqat ko sab ne mana hai
is haqīqat ko sab ne maanā hai
jo bhī aayā hai us ko jaanā hai
us ke muñh tak pahuñch hī jaanā hai
jis kī qismat kā āb-o-dāna hai
maut aa.ī thī le ga.ī us ko
hādisa to faqat bahāna hai
un ke qadmoñ meñ jaan de denā
maut ko zindagī banānā hai
bām-o-dar ko sajā liyā jaa.e
mere ghar aaj un ko aanā hai
mere ġham se ho un ko kyoñ taklīf
sāmne sab ke muskurānā hai
kahīñ ġham hai kahīñ ḳhushī 'fārūq'
ye to qudrat kā kār-ḳhāna hai
is haqiqat ko sab ne mana hai
jo bhi aaya hai us ko jaana hai
us ke munh tak pahunch hi jaana hai
jis ki qismat ka aab-o-dana hai
maut aai thi le gai us ko
hadisa to faqat bahana hai
un ke qadmon mein jaan de dena
maut ko zindagi banana hai
baam-o-dar ko saja liya jae
mere ghar aaj un ko aana hai
mere gham se ho un ko kyon taklif
samne sab ke muskurana hai
kahin gham hai kahin KHushi 'faruq'
ye to qudrat ka kar-KHana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.