Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is imtihan mein bhi pura utar gaya har shaKHs

Islam Parvez

is imtihan mein bhi pura utar gaya har shaKHs

Islam Parvez

MORE BYIslam Parvez

    is imtihāñ meñ bhī puurā utar gayā har shaḳhs

    ḳhud apne ḳhuuñ meñ nahā kar nikhar gayā har shaḳhs

    na jaane kaun aahaT pe Dar gayā har shaḳhs

    ye kyā huā ki achānak bikhar gayā har shaḳhs

    fasurda shaam meñ yuuñ reñgte haiñ sannāTe

    ki jaise maut se pahle mar gayā har shaḳhs

    ye kis pe mar miTā dīvāna-vār har koī

    ye kis raah meñ jaañ se guzar gayā har shaḳhs

    añdherī raat meñ anjān siskiyoñ sadā

    jo aa.ī kānoñ meñ yak-laḳht Dar gayā har shaḳhs

    dikhā.ī detā nahīñ duur duur tak koī

    maiñ kis se pūchhūñ ki āḳhir kidhar gayā har shaḳhs

    mire ḳhayāl meñ 'parvez' ye bhī Thiik huā

    ḳhud apnī zaat tah meñ utar gayā har shaḳhs

    is imtihan mein bhi pura utar gaya har shaKHs

    KHud apne KHun mein naha kar nikhar gaya har shaKHs

    na jaane kaun si aahaT pe Dar gaya har shaKHs

    ye kya hua ki achanak bikhar gaya har shaKHs

    fasurda sham mein yun rengte hain sannaTe

    ki jaise maut se pahle hi mar gaya har shaKHs

    ye kis pe mar miTa diwana-war har koi

    ye kis ki rah mein jaan se guzar gaya har shaKHs

    andheri raat mein anjaan siskiyon ki sada

    jo aai kanon mein yak-laKHt Dar gaya har shaKHs

    dikhai deta nahin dur dur tak koi

    main kis se puchhun ki aaKHir kidhar gaya har shaKHs

    mere KHayal mein 'parwez' ye bhi Thik hua

    KHud apni zat ki tah mein utar gaya har shaKHs

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now