is inkisar ka idrak tujhko kam hoga
is inkisār kā idrāk tujh ko kam hogā
mire charāġh kī lau meñ bhī thoḌā nam hogā
lapak paḌūñgā maiñ tasvīr se tirī jānib
ye terī samt mirā āḳhirī qadam hogā
guzishta raat mujhe sīḌhiyoñ meñ yaad aayā
tirī thakan kā sabab bhī kisī kā ġham hogā
maiñ jāntā thā mujhe raushnī vadī.at hai
maiñ jāntā thā mire haath meñ qalam hogā
hamāre sānehe tahdār kar diye ga.e haiñ
hamārī tīrgī kā aag se janam hogā
maiñ ḳhushk jhiil meñ sahmī huī namī huuñ dost
mirā machheroñ ke gītoñ se ḳhauf kam hogā
safar meñ us ko agar peḌ kam paḌe 'ārish'
to us kā rasta mire rāste meñ zam hogā
is inkisar ka idrak tujh ko kam hoga
mere charagh ki lau mein bhi thoDa nam hoga
lapak paDunga main taswir se teri jaanib
ye teri samt mera aaKHiri qadam hoga
guzishta raat mujhe siDhiyon mein yaad aaya
teri thakan ka sabab bhi kisi ka gham hoga
main jaanta tha mujhe raushni wadiat hai
main jaanta tha mere hath mein qalam hoga
hamare sanehe tahdar kar diye gae hain
hamari tirgi ka aag se janam hoga
main KHushk jhil mein sahmi hui nami hun dost
mera machheron ke giton se KHauf kam hoga
safar mein us ko agar peD kam paDe 'arish'
to us ka rasta mere raste mein zam hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.