is ishq ke hathon se hargiz na mafar dekha
is 'ishq ke hāthoñ se hargiz na mafar dekhā
utnī hī baḌhī hasrat jitnā hī udhar dekhā
thā khel sā pahle 'ishq lekin jo khulīñ āñkheñ
Duubā huā rag rag meñ vo tīr-e-nazar dekhā
sab ho ga.ī uTh uTh kar ik baaz nisār sham'
parvānoñ ne kyā jaane kyā vaqt-e-sahar dekhā
vo ashk bharī āñkheñ aur dard bhare naale
allāh na dikhlā.e jo vaqt-e-sahar dekhā
qurbāñ tirī āñkhoñ ke sadqe tarī nazroñ ke
thā hāsil-e-sad-nāvak jo zaḳhm-e-jigar dekhā
jaate rahe dam-bhar meñ saare hī gile shikve
us jān-e-taġhāful ne jab ek nazar dekhā
ahd-e-ġham-e-furqat meñ dil aur jigar kaise
ik zaḳhm idhar paayā ik daaġh udhar dekhā
thā bā.is-e-rusvā.ī har-chand junūñ merā
un ko bhī na chain aayā jab tak na idhar dekhā
is chashm-e-ġhazāleñ ko mai-ḳhāna-e-dil paayā
us rū-e-nigārīñ ko firdaus-e-nazar dekhā
yuuñ dil ko taḌapne kā kuchh to hai sabab āḳhir
yā dard ne karvaT lī yā tum ne idhar dekhā
kyā jāniye kyā guzrī hañgām-e-junūñ lekin
kuchh hosh ho aayā to ujḌā huā ghar dekhā
māthe pe pasīnā kyuuñ āñkhoñ meñ namī kaisī
kuchh ḳhair to hī tum ne kyā hāl-e-jigar dekhā
is 'ishq ke hathon se hargiz na mafar dekha
utni hi baDhi hasrat jitna hi udhar dekha
tha khel sa pahle 'ishq lekin jo khulin aankhen
Duba hua rag rag mein wo tir-e-nazar dekha
sab ho gai uTh uTh kar ek baz nisar sham'
parwanon ne kya jaane kya waqt-e-sahar dekha
wo ashk bhari aankhen aur dard bhare nale
allah na dikhlae jo waqt-e-sahar dekha
qurban teri aankhon ke sadqe tari nazron ke
tha hasil-e-sad-nawak jo zaKHm-e-jigar dekha
jate rahe dam-bhar mein sare hi gile shikwe
us jaan-e-taghaful ne jab ek nazar dekha
ahd-e-gham-e-furqat mein dil aur jigar kaise
ek zaKHm idhar paya ek dagh udhar dekha
tha bais-e-ruswai har-chand junun mera
un ko bhi na chain aaya jab tak na idhar dekha
is chashm-e-ghazalen ko mai-KHana-e-dil paya
us ru-e-nigarin ko firdaus-e-nazar dekha
yun dil ko taDapne ka kuchh to hai sabab aaKHir
ya dard ne karwaT li ya tum ne idhar dekha
kya jaaniye kya guzri hangam-e-junun lekin
kuchh hosh ho aaya to ujDa hua ghar dekha
mathe pe pasina kyun aankhon mein nami kaisi
kuchh KHair to hi tum ne kya haal-e-jigar dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.