is jagah kaun kaun tha likhiye
is jagah kaun kaun thā likhiye
bhed kis tarah khul gayā likhiye
jurm ko jurm kī sazā likhiye
dard ko dard kī davā likhiye
baat tahrīr tak jab aa pahuñchī
vo burā hai to phir burā likhiye
koī raazī nahīñ gavāhī par
sab musir haiñ ki hādsa likhiye
baat to ye hai baat kuchh bhī nahīñ
aap chāheñ to hāshiya likhiye
sach hai jiine kā haq nahīñ mujh ko
hai koī aur mashvara likhiye
baat kā vaqt kho diyā 'kāzim'
ab to likhnā hī rah gayā likhiye
is jagah kaun kaun tha likhiye
bhed kis tarah khul gaya likhiye
jurm ko jurm ki saza likhiye
dard ko dard ki dawa likhiye
baat tahrir tak jab aa pahunchi
wo bura hai to phir bura likhiye
koi raazi nahin gawahi par
sab musir hain ki hadsa likhiye
baat to ye hai baat kuchh bhi nahin
aap chahen to hashiya likhiye
sach hai jine ka haq nahin mujh ko
hai koi aur mashwara likhiye
baat ka waqt kho diya 'kazim'
ab to likhna hi rah gaya likhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.