is jahan-e-be-jahan mein dil laga pawenge kya
is jahān-e-be-jahāñ meñ dil lagā pāveñge kyā
chhoḌ kar apne jahāñ ko ham na pachhtāveñge kyā
dhīmī dhīmī aañch sī rahtī hai siine meñ mudām
mom kī mānind ik din ham pighal jāveñge kyā
kyoñ ba-zid ho tum bhī mere saath chalne ke liye
chalte chalte paañv meñ chhāle na paḌ jāveñge kyā
dam-ba-dam ham jal rahe haiñ āgahī kī aañch meñ
aur is se baḌh ke āḳhir ham sazā pāveñge kyā
ik na.ī manzil kī jānib thā safar kā silsila
raftagāñ ab is jahāñ meñ lauT kar āveñge kyā
is jahan-e-be-jahan mein dil laga pawenge kya
chhoD kar apne jahan ko hum na pachhtawenge kya
dhimi dhimi aanch si rahti hai sine mein mudam
mom ki manind ek din hum pighal jawenge kya
kyon ba-zid ho tum bhi mere sath chalne ke liye
chalte chalte panw mein chhaale na paD jawenge kya
dam-ba-dam hum jal rahe hain aagahi ki aanch mein
aur is se baDh ke aaKHir hum saza pawenge kya
ek nai manzil ki jaanib tha safar ka silsila
raftagan ab is jahan mein lauT kar aawenge kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.