is jahan mein bhi kahin apna sahaara koi hai
is jahāñ meñ bhī kahīñ apnā sahārā koī hai
āsmānoñ meñ bhī lagtā hai hamārā koī hai
yuuñ to kahne ko sabhī se haiñ marāsim apne
maan leñ kaise ki in sab meñ hamārā koī hai
shauq se jaan pe sah leñ jo hameñ ho ma.alūm
faisla hai ye ab us kā ki ishārā koī hai
kaaT letā hai shab-o-roz to vo bhī āḳhir
jis kī manzil hai na rasta na sitāra koī hai
ai shab-e-hijr satātī hai hameñ kyuuñ nāhaq
ham rahe us ke na ab vo hī hamārā koī hai
is jahan mein bhi kahin apna sahaara koi hai
aasmanon mein bhi lagta hai hamara koi hai
yun to kahne ko sabhi se hain marasim apne
man len kaise ki in sab mein hamara koi hai
shauq se jaan pe sah len jo hamein ho malum
faisla hai ye ab us ka ki ishaara koi hai
kaT leta hai shab-o-roz to wo bhi aaKHir
jis ki manzil hai na rasta na sitara koi hai
ai shab-e-hijr satati hai hamein kyun nahaq
hum rahe us ke na ab wo hi hamara koi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.