is jahan mein malul aae hain
is jahāñ meñ malūl aa.e haiñ
apne hisse babūl aa.e haiñ
ham ki mansūr haiñ zamāne ke
ham salīboñ pe jhuul aa.e haiñ
jin salīboñ pe ḳhuun thā apnā
un salīboñ pe phuul aa.e haiñ
yaad rakhnā jinheñ zarūrī thā
hākim-e-vaqt bhuul aa.e haiñ
kuchh bhī ham se yahāñ na ho paayā
ham to 'shāhid' fuzūl aa.e haiñ
is jahan mein malul aae hain
apne hisse babul aae hain
hum ki mansur hain zamane ke
hum salibon pe jhul aae hain
jin salibon pe KHun tha apna
un salibon pe phul aae hain
yaad rakhna jinhen zaruri tha
hakim-e-waqt bhul aae hain
kuchh bhi hum se yahan na ho paya
hum to 'shahid' fuzul aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.