is jaur o jafa se tere zinhaar na TuTe
is jaur o jafā se tire zinhār na TuuTe
ye dil to kisī tarah se ai yaar na TuuTe
ġhairoñ ko na kar mujh dil-e-bismil ke muqābil
chau rañg lagāte tirī talvār na TuuTe
vo shīsha-e-dil hai ki isī sañg-e-jafā par
sau baar agar pheñkiye yak-bār na TuuTe
rakh qais qadam vādi-e-lailā meñ samajh kar
is dasht-e-mohabbat kā koī ḳhaar na TuuTe
jumbish meñ na lā sub.ha-e-islām ko ai sheḳh
nāzuk hai mirā rishta-e-zunnār na TuuTe
shāna se 'fuġhāñ' phir ulajhtā hai mirā dil
us kākul-e-mushkīñ kā koī taar na TuuTe
is jaur o jafa se tere zinhaar na TuTe
ye dil to kisi tarah se ai yar na TuTe
ghairon ko na kar mujh dil-e-bismil ke muqabil
chau rang lagate teri talwar na TuTe
wo shisha-e-dil hai ki isi sang-e-jafa par
sau bar agar phenkiye yak-bar na TuTe
rakh qais qadam wadi-e-laila mein samajh kar
is dasht-e-mohabbat ka koi KHar na TuTe
jumbish mein na la subha-e-islam ko ai sheKH
nazuk hai mera rishta-e-zunnar na TuTe
shana se 'fughan' phir ulajhta hai mera dil
us kakul-e-mushkin ka koi tar na TuTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.