is ka to gham nahin dil-e-diwana jal gaya
is ka to gham nahin dil-e-diwana jal gaya
Habeeb Ahmad Siddiqui
MORE BYHabeeb Ahmad Siddiqui
is kā to ġham nahīñ dil-e-dīvāna jal gayā
zālim ye ġham hai terā sanam-ḳhāna jal gayā
bedād rashk se dil-e-dīvāna jal gayā
sad-haif ham na jal ga.e parvāna jal gayā
shāyad safā-e-husn meñ muzmar thiiñ ranjisheñ
āġhosh-e-iltifāt meñ parvāna jal gayā
saaqī kī chashm-e-nāz se nisbat hai kyā use
bas ik nigāh-e-garm meñ paimāna jal gayā
hangāma-e-hayāt huā ḳhatm us ke saath
ab koī kyā jiye dil-e-dīvāna jal gayā
ātish sarisht-e-sham.a hai yā hai itāb-e-husn
ham itnā jānte haiñ ki parvāna jal gayā
tere karam se dil pe jo guzrī vo kyā kaheñ
sahbā-e-ātishīñ se ye paimāna jal gayā
is ka to gham nahin dil-e-diwana jal gaya
zalim ye gham hai tera sanam-KHana jal gaya
bedad rashk se dil-e-diwana jal gaya
sad-haif hum na jal gae parwana jal gaya
shayad safa-e-husn mein muzmar thin ranjishen
aaghosh-e-iltifat mein parwana jal gaya
saqi ki chashm-e-naz se nisbat hai kya use
bas ek nigah-e-garm mein paimana jal gaya
hangama-e-hayat hua KHatm us ke sath
ab koi kya jiye dil-e-diwana jal gaya
aatish sarisht-e-shama hai ya hai itab-e-husn
hum itna jaante hain ki parwana jal gaya
tere karam se dil pe jo guzri wo kya kahen
sahba-e-atishin se ye paimana jal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.