Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is kamre mein KHwab rakkhe the kaun yahan par aaya tha

Fazl Tabish

is kamre mein KHwab rakkhe the kaun yahan par aaya tha

Fazl Tabish

is kamre meñ ḳhvāb rakhe the kaun yahāñ par aayā thā

gum-sum raushan-dāno bolo kyā tum ne kuchh dekhā thā

andhe ghar meñ har jānib se bad-rūhoñ yūrish thī

bijlī jalne se pahle tak vo sab thiiñ maiñ tanhā thā

mujh se chauthī bench ke uupar kal shab jo do saa.e the

jaane kyuuñ aisā lagtā hai ik tere saa.e thā

sūraj ūñchā ho kar mere āñgan meñ bhī aayā hai

pahle nīchā thā to ūñche mīnāroñ par baiThā thā

maazī niilī chhatrī par yādoñ ke añgāre the

ḳhvāhish ke piile pattoñ par girne Dar baiThā thā

dil ne ghanToñ dhaḌkan lamhoñ meñ puurī kar Daalī

vaise anjānī laḌkī ne bas Time pūchhā thā

is kamre mein KHwab rakhe the kaun yahan par aaya tha

gum-sum raushan-dano bolo kya tum ne kuchh dekha tha

andhe ghar mein har jaanib se bad-ruhon ki yurish thi

bijli jalne se pahle tak wo sab thin main tanha tha

mujh se chauthi bench ke upar kal shab jo do sae the

jaane kyun aisa lagta hai ek tere sae sa tha

suraj uncha ho kar mere aangan mein bhi aaya hai

pahle nicha tha to unche minaron par baiTha tha

mazi ki nili chhatri par yaadon ke angare the

KHwahish ke pile patton par girne ka Dar baiTha tha

dil ne ghanTon ki dhaDkan lamhon mein puri kar Dali

waise anjaani laDki ne bas ka Time puchha tha

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

Nomaan Shauque

is kamre mein KHwab rakkhe the kaun yahan par aaya tha Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now