is ke jo jo ki fawaed hain KHud dekhte jao
is ke jo jo ki favā.ed haiñ ḳhud dekhte jaao
sach kahā hai ye kisī ne ki piyo aur pilāo
zabt sarkār meñ hone ke liye chhoḌ na jaao
ḳhuub hī khaao zar-o-māl ko aur ḳhuub uḌaao
tum meñ aur ġhair meñ jo shab ko huī hai sohbat
ḳhud kahe detā hai vo aap kī āñkhoñ kā jhukāo
baiThne ke nahīñ qābil ye sarā-e-vīrāñ
yaañ se toshe ke uThāne ke evaz naav uThāo
maiñ huuñ maḳhmūr mujhe taab kahāñ haañ saaqī
saaf ho durd ho jaldī se jo mil jaa.e to laao
nahīñ bīmār ko taklīf zyāda dete
apnī āñkhoñ ko mire sāmne itnā na jhukāo
dil meñ aa baiThiye aur sair-e-do-ālam kiije
hai bahut duur kā us manzil-e-vīrāñ se dikhāo
muñh se gar baat nikal jaa.e to aafat aa jaa.e
jo kahīñ chupke sune jaao zabāñ ko na hilāo
maiñ kahāñ aur kahāñ raat kā aanā par haañ
tere ghar se to bahut ġhair ke ghar kā hai lagāo
ukhḌe jaate haiñ qadam dekh vahāñ kī rañgat
apnā is dar pe huā hai na kabhī hogā jamāv
dil kī ābādī kī ab fikr hai bilkul nāhaq
ab to yaañ roz hī hotā hai sipah-e-ġham kā paḌāv
ba.ad ik umr ke gar arz-e-tamannā kiije
vo bigaḌ kar yahī kahte haiñ ki bāteñ na banāo
garche ye jhuuT fasānā hai vale hai dilchasp
kahte haiñ apnī kahānī mujhe tum roz sunāo
huuñ agar us ke evaz nīm-nigah kā ḳhvāhāñ
hañs ke kahte haiñ ki kuchh qīmat-e-dil aur ghatāo
avval-e-ishq hai dil kab hai samajhne vaalā
abhī zoroñ pe hai is bahr par aafat kā chaḌhāo
haal bhī kahte agar hosh Thikāne hote
yaañ to hairat hai ki tum aur mujhe pūchhne aao
dam nikalne kā alam kis se sahā jaatā hai
harf tum jaane kā ai jaan zabāñ hī pe na laao
un ko to pās-e-mohabbat nahīñ aslan lekin
nibh sake tum se agar hazrat-e-dil aur nibhāo
zaḳhm-e-hijrāñ kī nahīñ aur to duniyā meñ davā
mundamil vasl ke marham se to hotā hai ye ghaav
kab use dīda-e-tar dāva-e-ham-chashmī hai
aaTh aaTh aañsū na tum abr-e-bahārī ko rulāo
un ke aane ke tasavvur meñ yahī kahtā huuñ
ai shab-e-va.ada na ho sub.h vo karte haiñ banāv
vaañ khapat hī nahīñ kyā jins-e-vafā le jaa.eñ
un kī sarkār meñ ik jaur-o-sitam kā hai banāv
ab ho 'majrūh' mohabbat se bahut ghabrāte
ham to pahle hī ye kahte the ki dil ko na lagāo
is ke jo jo ki fawaed hain KHud dekhte jao
sach kaha hai ye kisi ne ki piyo aur pilao
zabt sarkar mein hone ke liye chhoD na jao
KHub hi khao zar-o-mal ko aur KHub uDao
tum mein aur ghair mein jo shab ko hui hai sohbat
KHud kahe deta hai wo aap ki aankhon ka jhukao
baiThne ke nahin qabil ye sara-e-viran
yan se toshe ke uThane ke ewaz naw uThao
main hun maKHmur mujhe tab kahan han saqi
saf ho durd ho jaldi se jo mil jae to lao
nahin bimar ko taklif zyaada dete
apni aankhon ko mere samne itna na jhukao
dil mein aa baiThiye aur sair-e-do-alam kije
hai bahut dur ka us manzil-e-viran se dikhao
munh se gar baat nikal jae to aafat aa jae
jo kahin chupke sune jao zaban ko na hilao
main kahan aur kahan raat ka aana par han
tere ghar se to bahut ghair ke ghar ka hai lagao
ukhDe jate hain qadam dekh wahan ki rangat
apna is dar pe hua hai na kabhi hoga jamaw
dil ki aabaadi ki ab fikr hai bilkul nahaq
ab to yan roz hi hota hai sipah-e-gham ka paDaw
baad ek umr ke gar arz-e-tamanna kije
wo bigaD kar yahi kahte hain ki baaten na banao
garche ye jhuT fasana hai wale hai dilchasp
kahte hain apni kahani mujhe tum roz sunao
hun agar us ke ewaz nim-nigah ka KHwahan
hans ke kahte hain ki kuchh qimat-e-dil aur ghatao
awwal-e-ishq hai dil kab hai samajhne wala
abhi zoron pe hai is bahr par aafat ka chaDhao
haal bhi kahte agar hosh Thikane hote
yan to hairat hai ki tum aur mujhe puchhne aao
dam nikalne ka alam kis se saha jata hai
harf tum jaane ka ai jaan zaban hi pe na lao
un ko to pas-e-mohabbat nahin aslan lekin
nibh sake tum se agar hazrat-e-dil aur nibhao
zaKHm-e-hijran ki nahin aur to duniya mein dawa
mundamil wasl ke marham se to hota hai ye ghaw
kab use dida-e-tar dawa-e-ham-chashmi hai
aaTh aaTh aansu na tum abr-e-bahaari ko rulao
un ke aane ke tasawwur mein yahi kahta hun
ai shab-e-wada na ho subh wo karte hain banaw
wan khapat hi nahin kya jins-e-wafa le jaen
un ki sarkar mein ek jaur-o-sitam ka hai banaw
ab ho 'majruh' mohabbat se bahut ghabraate
hum to pahle hi ye kahte the ki dil ko na lagao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.